Saturday, 2 March 2013

ma akela hu, mera chaand hai, aor hai shab e gham

Ghazal

ma akela hu, mera chaand hai, aor hai shab e gham
un k anay ka bhi  imkaan  hai, aor hai shab e gham

kuch tasaveer, kitabain hain, kuch aoraaq e ghazal
meri hasti ka ye samaaan hain, aor hai shab e gham

raat tareek hai , na chaand, na taara hai koi
un ka milna b kab asaan hai, aor hai shab e gham

mere marne se tera naam to ho ga roshan
kuch dinnon ka tera mehmaan hai aor hai shab e gham

din nikal jata hai bus, teri ibadat kartay
tu mera deen  hai, emaan hai, aor hai shab e gham

ab shakeel un se marasim na barhao itne
pehle kya kam tu pareshaan hai, aoor hai shab e gham

No comments:

Post a Comment