poemz, ghazals in urdu and punjabi wrritten by zain shakeel
Saturday, 2 March 2013
"hamaray dard ko jo daastan samjhta hai"
Ghazal
hamaray dard ko jo daastan samjhta hai
na janay dil usay kiu raazdan samjhta hai
dharakta rehta hai pehlu main us k reh reh kr
main kese sabar karu dil kahan samjhta hai
wo shakhs meri muhabbat main ese ghayel hai
main hu zameen mjhe aasman samjhta hai
wo log jo hamain gham de k bhool jatay hain
na janay q unhain dil mehruban samajhta hai
main khud b doob raha tha kisi saharay per
wo shakhs phr b mje baadban smajhta hai
shakeel iss qadar ana na tha muhaal unka
mgr wo ghar ko mere keh'kashan samjhta hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment