Saturday, 2 March 2013

"kash ankhain parha karay koi"

Ghazal

koi hamdard ho zamanay main
kash ankhain parha karay koi

chaand b ja chupa hai badli main
youn na parda kia karay koi

beth kar hasraton ki mehfil main
zikr  mera  kia  karay  koi

tum nhi hon jo raasta badlon
youn na muj se larra karay koi

kya nhi uss ki dastaras main hum
youn na hadd se barha karay koi

hum na kehtay thay chorr jaye ga
na  tassalli  dia  karay  koi

hum shakeel un pe mar mitay akhir
unka sadqa dia karay koi




3 comments: