Ghazal
khalqat e sheher ko hairaan kiye phirta hon
janay pehchanon ko anjaan kiye phirta hon
kaabah o deer main rehta hu kuch aese jese
ird ko gird ko veeraaan kiye phirta hon
muj sa deevana bhala aor kahan dekho gay
mehfil e yaar ko sunsaan kiye phirta hon
zor dunia pe nhi, dil pe mgr chalta haii
isi hindu ko musalmaan kiye phirta hon
wo shakeel aj b hain hm se guraizan lekin
dil main ab bhi unhain mehmaan kiye phirta hon